yoonhi be-sabab na fira karo koi shaam ghar mein raha karo
vo ghazal ki sacchi kitaab hai use chupke chupke padha karo
koi haath bhi na milaaega jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj ka shehar hai zara faasle se mila karo
abhi raah mein kai mod hain koi aayega koi jaayega
tumhein jis ne dil se bhula diya use bhoolne ki dua karo
mujhe ishtehaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaaniyaan
jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo
kabhi husn-e-parda-nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein
jo main ban sanwar ke kahi chaloon mere saath tum bhi chala karo
nahin be-hijaab vo chaand sa ki nazar ka koi asar na ho
use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo
ye khizaan ki zard si shaal mein jo udaas ped ke paas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se haraa karo
यूंही बे-सबब न फिरा करो कोई शाम घर में रहा करो
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है उसे चुपके चुपके पढ़ा करो
कोई हाथ भी न मिलाएगा जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है ज़रा फ़ासले से मिला करो
अभी राह में कई मोड़ हैं कोई आएगा कोई जाएगा
तुम्हें जिस ने दिल से भुला दिया उसे भूलने की दुआ करो
मुझे इश्तिहार सी लगती हैं ये मोहब्बतों की कहानियाँ
जो कहा नहीं वो सुना करो जो सुना नहीं वो कहा करो
कभी हुस्न-ए-पर्दा-नशीं भी हो ज़रा आशिक़ाना लिबास में
जो मैं बन सँवर के कहीं चलूँ मिरे साथ तुम भी चला करो
नहीं बे-हिजाब वो चाँद सा कि नज़र का कोई असर न हो
उसे इतनी गर्मी-ए-शौक़ से बड़ी देर तक न तका करो
ये ख़िज़ाँ की ज़र्द सी शाल में जो उदास पेड़ के पास है
ये तुम्हारे घर की बहार है उसे आँसुओं से हरा करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Birthday Shayari Shayari