bheegi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chhod ke mat jaao kahi ghar na milega
phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam
jab dhoop mein saaya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatra na samajhna
aisa tumhein chaahat ka samundar na milega
is khwaab ke maahol mein be-khwab hain aankhen
jab neend bahut aayegi bistar na milega
ye soch lo ab aakhiri saaya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
भीगी हुई आँखों का ये मंज़र न मिलेगा
घर छोड़ के मत जाओ कहीं घर न मिलेगा
फिर याद बहुत आएगी ज़ुल्फ़ों की घनी शाम
जब धूप में साया कोई सर पर न मिलेगा
आँसू को कभी ओस का क़तरा न समझना
ऐसा तुम्हें चाहत का समुंदर न मिलेगा
इस ख़्वाब के माहौल में बे-ख़्वाब हैं आँखें
जब नींद बहुत आएगी बिस्तर न मिलेगा
ये सोच लो अब आख़िरी साया है मोहब्बत
इस दर से उठोगे तो कोई दर न मिलेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Promise Shayari Shayari