hasi ma'soom si bacchon ki copy mein ibaarat si
hiran ki peeth par baithe parinde ki sharaarat si
vo jaise sardiyon mein garm kapde de faqeeron ko
labon pe muskuraahat thi magar kaisi hiqaarat si
udaasi pat-jhadon ki shaam odhe raasta takti
pahaadi par hazaaron saal ki koi imarat si
sajaaye baazuon par baazu vo maidaan mein tanhaa tha
chamakti thi ye basti dhoop mein taaraaj o gharaat si
meri aankhon mere honton pe ye kaisi tamaazat hai
kabootar ke paron ki reshmi ujli hararat si
khila de phool mere baagh mein paighambaron jaisa
raqam ho jis ki peshaani pe ik aayat basharat si
हँसी मा'सूम सी बच्चों की कॉपी में इबारत सी
हिरन की पीठ पर बैठे परिंदे की शरारत सी
वो जैसे सर्दियों में गर्म कपड़े दे फ़क़ीरों को
लबों पे मुस्कुराहट थी मगर कैसी हिक़ारत सी
उदासी पत-झड़ों की शाम ओढ़े रास्ता तकती
पहाड़ी पर हज़ारों साल की कोई इमारत सी
सजाए बाज़ुओं पर बाज़ू वो मैदाँ में तन्हा था
चमकती थी ये बस्ती धूप में ताराज ओ ग़ारत सी
मेरी आँखों मेरे होंटों पे ये कैसी तमाज़त है
कबूतर के परों की रेशमी उजली हरारत सी
खिला दे फूल मेरे बाग़ में पैग़म्बरों जैसा
रक़म हो जिस की पेशानी पे इक आयत बशारत सी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Wahshat Shayari Shayari