sanwaar nok-palak abruon mein kham kar de
gire pade hue lafzon ko mohtaram kar de
ghuroor us pe bahut sajta hai magar kah do
isee mein us ka bhala hai ghuroor kam kar de
yahan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahin
mujhe gilaas bade de sharaab kam kar de
chamakne waali hai tahreer meri qismat ki
koi charaagh ki lau ko zara sa kam kar de
kisi ne choom ke aankhon ko ye dua di thi
zameen teri khuda motiyon se nam kar de
सँवार नोक-पलक अबरुओं में ख़म कर दे
गिरे पड़े हुए लफ़्ज़ों को मोहतरम कर दे
ग़ुरूर उस पे बहुत सजता है मगर कह दो
इसी में उस का भला है ग़ुरूर कम कर दे
यहाँ लिबास की क़ीमत है आदमी की नहीं
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे
चमकने वाली है तहरीर मेरी क़िस्मत की
कोई चराग़ की लौ को ज़रा सा कम कर दे
किसी ने चूम के आँखों को ये दुआ दी थी
ज़मीन तेरी ख़ुदा मोतियों से नम कर दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Ibaadat Shayari Shayari