udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hain
ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain
tamaam raat khujuroon ke ped julte hain
main shaahraah nahin raaste ka patthar hoon
yahan sawaar bhi paidal utar ke chalte hain
unhen kabhi na bataana main un ki aankhon mein
vo log phool samajh kar mujhe maslate hain
kai sitaaron ko main jaanta hoon bachpan se
kahi bhi jaaun mere saath saath chalte hain
ye ek ped hai aa is se mil ke ro len ham
yahan se tere mere raaste badalte hain
उदास आँखों से आँसू नहीं निकलते हैं
ये मोतियों की तरह सीपियों में पलते हैं
घने धुएँ में फ़रिश्ते भी आँख मलते हैं
तमाम रात खुजूरों के पेड़ जुलते हैं
मैं शाहराह नहीं रास्ते का पत्थर हूँ
यहाँ सवार भी पैदल उतर के चलते हैं
उन्हें कभी न बताना मैं उन की आँखों में
वो लोग फूल समझ कर मुझे मसलते हैं
कई सितारों को मैं जानता हूँ बचपन से
कहीं भी जाऊँ मिरे साथ साथ चलते हैं
ये एक पेड़ है आ इस से मिल के रो लें हम
यहाँ से तेरे मिरे रास्ते बदलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Gulshan Shayari Shayari