shaam aankhon mein aankh paani mein | शाम आँखों में आँख पानी में - Bashir Badr

shaam aankhon mein aankh paani mein
aur paani sara-e-faani mein

jhilmilaate hain kashtiyon mein diye
pul khade so rahe hain paani mein

khaak ho jaayegi zameen ik din
aasmaanon ki aasmaani mein

vo hawa hai use kahaan dhundhun
aag mein khaak mein ki paani mein

aa pahaadon ki tarah saamne aa
in dinon main bhi hoon rawaani mein

शाम आँखों में आँख पानी में
और पानी सरा-ए-फ़ानी में

झिलमिलाते हैं कश्तियों में दिए
पुल खड़े सो रहे हैं पानी में

ख़ाक हो जाएगी ज़मीन इक दिन
आसमानों की आसमानी में

वो हवा है उसे कहाँ ढूँडूँ
आग में ख़ाक में कि पानी में

आ पहाड़ों की तरह सामने आ
इन दिनों मैं भी हूँ रवानी में

- Bashir Badr
3 Likes

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari