udaasi aasmaan hai dil mera kitna akela hai | उदासी आसमाँ है दिल मिरा कितना अकेला है - Bashir Badr

udaasi aasmaan hai dil mera kitna akela hai
parinda shaam ke pul par bahut khaamosh baitha hai

main jab so jaaun in aankhon pe apne hont rakh dena
yaqeen aa jaayega palkon tale bhi dil dhadakta hai

tumhaare shehar ke saare diye to so gaye kab ke
hawa se poochna dahleez pe ye kaun jalta hai

agar furqat mile paani ki tehriroon ko padh lena
har ik dariya hazaaron saal ka afsaana likhta hai

kabhi main apne haathon ki lakeeron se nahin uljha
mujhe maaloom hai qismat ka likkha bhi badalta hai

उदासी आसमाँ है दिल मिरा कितना अकेला है
परिंदा शाम के पुल पर बहुत ख़ामोश बैठा है

मैं जब सो जाऊँ इन आँखों पे अपने होंट रख देना
यक़ीं आ जाएगा पलकों तले भी दिल धड़कता है

तुम्हारे शहर के सारे दिए तो सो गए कब के
हवा से पूछना दहलीज़ पे ये कौन जलता है

अगर फ़ुर्सत मिले पानी की तहरीरों को पढ़ लेना
हर इक दरिया हज़ारों साल का अफ़्साना लिखता है

कभी मैं अपने हाथों की लकीरों से नहीं उलझा
मुझे मालूम है क़िस्मत का लिक्खा भी बदलता है

- Bashir Badr
1 Like

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari