mujh se bichhad ke khush rahte ho
meri tarah tum bhi jhoote ho
ik deewaar pe chaand tika tha
main ye samjha tum baithe ho
ujle ujle phool khile the
bilkul jaise tum hanste ho
mujh ko shaam bata deti hai
tum kaise kapde pahne ho
dil ka haal padha chehre se
saahil se lahren ginte ho
tum tanhaa duniya se ladoge
bacchon si baatein karte ho
मुझ से बिछड़ के ख़ुश रहते हो
मेरी तरह तुम भी झूटे हो
इक दीवार पे चाँद टिका था
मैं ये समझा तुम बैठे हो
उजले उजले फूल खिले थे
बिल्कुल जैसे तुम हँसते हो
मुझ को शाम बता देती है
तुम कैसे कपड़े पहने हो
दिल का हाल पढ़ा चेहरे से
साहिल से लहरें गिनते हो
तुम तन्हा दुनिया से लड़ोगे
बच्चों सी बातें करते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Eid Shayari Shayari