kabhi to shaam dhale apne ghar gaye hote | कभी तो शाम ढले अपने घर गए होते

  - Bashir Badr

kabhi to shaam dhale apne ghar gaye hote
kisi ki aankh mein rah kar sanwar gaye hote

singaar-daan mein rahte ho aaine ki tarah
kisi ke haath se gir kar bikhar gaye hote

ghazal ne bahte hue phool chun liye warna
ghamon mein doob kar ham log mar gaye hote

ajeeb raat thi kal tum bhi aa ke laut gaye
jab aa gaye the to pal bhar thehar gaye hote

bahut dinon se hai dil apna khaali khaali sa
khushi nahin to udaasi se bhar gaye hote

कभी तो शाम ढले अपने घर गए होते
किसी की आँख में रह कर सँवर गए होते

सिंगार-दान में रहते हो आइने की तरह
किसी के हाथ से गिर कर बिखर गए होते

ग़ज़ल ने बहते हुए फूल चुन लिए वर्ना
ग़मों में डूब कर हम लोग मर गए होते

अजीब रात थी कल तुम भी आ के लौट गए
जब आ गए थे तो पल भर ठहर गए होते

बहुत दिनों से है दिल अपना ख़ाली ख़ाली सा
ख़ुशी नहीं तो उदासी से भर गए होते

  - Bashir Badr

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari