vo soorat gard-e-gham mein chhup gai ho | वो सूरत गर्द-ए-ग़म में छुप गई हो - Bashir Badr

vo soorat gard-e-gham mein chhup gai ho
bahut mumkin ye vo hi aadmi ho

main thehra aabshaar-e-shehr-e-pur-fan
ghane jungle ki tum bahti nadi ho

meri aankhon mein registaan base hain
koi aise mein saawan ki jhadi ho

bahut masroof hai angusht-e-naghma
magar tum to abhi tak baansuri ho

diya jo bujh chuka hai phir jalana
bahut mehsoos jab meri kami ho

ye shab jaise koi be-maaan ki bacchi
akela rote rote so gai ho

vo dariya mein nahaana chaandni ka
ki chaandi jaise ghul kar bah rahi ho

kahaani kehne waale kah rahe hain
magar jaane wahi jis par padi ho

miyaan deewaan ka mat ro'b daalo
padho koi ghazal jo waqai ho

ghazal vo mat sunaana hum ko shaayar
jo behad saamaen mein chal chuki ho

वो सूरत गर्द-ए-ग़म में छुप गई हो
बहुत मुमकिन ये वो ही आदमी हो

मैं ठहरा आबशार-ए-शहर-ए-पुर-फ़न
घने जंगल की तुम बहती नदी हो

मिरी आँखों में रेगिस्ताँ बसे हैं
कोई ऐसे में सावन की झड़ी हो

बहुत मसरूफ़ है अंगुश्त-ए-नग़्मा
मगर तुम तो अभी तक बाँसुरी हो

दिया जो बुझ चुका है फिर जलाना
बहुत महसूस जब मेरी कमी हो

ये शब जैसे कोई बे-माँ की बच्ची
अकेले रोते रोते सो गई हो

वो दरिया में नहाना चाँदनी का
कि चाँदी जैसे घुल कर बह रही हो

कहानी कहने वाले कह रहे हैं
मगर जाने वही जिस पर पड़ी हो

मियाँ! दीवान का मत रो'ब डालो
पढ़ो कोई ग़ज़ल जो वाक़ई हो

ग़ज़ल वो मत सुनाना हम को शाएर
जो बेहद सामईं में चल चुकी हो

- Bashir Badr
0 Likes

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari