khaandaani rishton mein akshar raqabat hai bahut | ख़ानदानी रिश्तों में अक्सर रक़ाबत है बहुत - Bashir Badr

khaandaani rishton mein akshar raqabat hai bahut
ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut

apne college mein bahut maghroor jo mashhoor hai
dil mera kehta hai us ladki mein chaahat hai bahut

un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe
jin ghareebon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut

hum se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan
ishq ki deewaar ke saaye mein raahat hai bahut

dhoop ki chadar mere suraj se kehna bhej de
gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut

in andheron mein jahaan sahmi hui thi ye zameen
raat se tanhaa lada jugnoo mein himmat hai bahut

ख़ानदानी रिश्तों में अक्सर रक़ाबत है बहुत
घर से निकलो तो ये दुनिया ख़ूबसूरत है बहुत

अपने कॉलेज में बहुत मग़रूर जो मशहूर है
दिल मिरा कहता है उस लड़की में चाहत है बहुत

उन के चेहरे चाँद तारों की तरह रौशन रहे
जिन ग़रीबों के यहाँ हुस्न-ए-क़नाअत है बहुत

हम से हो सकती नहीं दुनिया की दुनिया-दारियाँ
इश्क़ की दीवार के साए में राहत है बहुत

धूप की चादर मिरे सूरज से कहना भेज दे
ग़ुर्बतों का दौर है जाड़ों की शिद्दत है बहुत

इन अँधेरों में जहाँ सहमी हुई थी ये ज़मीं
रात से तन्हा लड़ा जुगनू में हिम्मत है बहुत

- Bashir Badr
2 Likes

Aurat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Aurat Shayari Shayari