ghar se nikle agar hum bahak jaayenge | घर से निकले अगर हम बहक जाएँगे - Bashir Badr

ghar se nikle agar hum bahak jaayenge
vo gulaabi katore chhalk jaayenge

hum ne alfaaz ko aaina kar diya
chhapne waale ghazal mein chamak jaayenge

dushmani ka safar ik qadam do qadam
tum bhi thak jaaoge hum bhi thak jaayenge

rafta rafta har ik zakham bhar jaayega
sab nishaanaat phoolon se dhak jaayenge

naam paani pe likhne se kya faaeda
likhte likhte tire haath thak jaayenge

ye parinde bhi kheton ke mazdoor hain
laut ke apne ghar shaam tak jaayenge

din mein pariyon ki koi kahaani na sun
junglon mein musaafir bhatk jaayenge

घर से निकले अगर हम बहक जाएँगे
वो गुलाबी कटोरे छलक जाएँगे

हम ने अल्फ़ाज़ को आइना कर दिया
छपने वाले ग़ज़ल में चमक जाएँगे

दुश्मनी का सफ़र इक क़दम दो क़दम
तुम भी थक जाओगे हम भी थक जाएँगे

रफ़्ता रफ़्ता हर इक ज़ख़्म भर जाएगा
सब निशानात फूलों से ढक जाएँगे

नाम पानी पे लिखने से क्या फ़ाएदा
लिखते लिखते तिरे हाथ थक जाएँगे

ये परिंदे भी खेतों के मज़दूर हैं
लौट के अपने घर शाम तक जाएँगे

दिन में परियों की कोई कहानी न सुन
जंगलों में मुसाफ़िर भटक जाएँगे

- Bashir Badr
4 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari