vo chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai | वो चाँदनी का बदन ख़ुशबुओं का साया है

  - Bashir Badr

vo chaandni ka badan khushbuon ka saaya hai
bahut aziz hamein hai magar paraaya hai

utar bhi aao kabhi aasmaan ke zeene se
tumhein khuda ne hamaare liye banaya hai

kahaan se aayi ye khushboo ye ghar ki khushboo hai
is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai

mahak rahi hai zameen chaandni ke phoolon se
khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

use kisi ki mohabbat ka e'tibaar nahin
use zamaane ne shaayad bahut sataaya hai

tamaam umr mera dil usi dhuen mein ghuta
vo ik charaagh tha main ne use bujhaaya hai

वो चाँदनी का बदन ख़ुशबुओं का साया है
बहुत अज़ीज़ हमें है मगर पराया है

उतर भी आओ कभी आसमाँ के ज़ीने से
तुम्हें ख़ुदा ने हमारे लिए बनाया है

कहाँ से आई ये ख़ुशबू ये घर की ख़ुशबू है
इस अजनबी के अँधेरे में कौन आया है

महक रही है ज़मीं चाँदनी के फूलों से
ख़ुदा किसी की मोहब्बत पे मुस्कुराया है

उसे किसी की मोहब्बत का ए'तिबार नहीं
उसे ज़माने ने शायद बहुत सताया है

तमाम उम्र मिरा दिल उसी धुएँ में घुटा
वो इक चराग़ था मैं ने उसे बुझाया है

  - Bashir Badr

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari