koi lashkar ki dhadakte hue gham aate hain
shaam ke saaye bahut tez qadam aate hain
dil vo darvesh hai jo aankh uthaata hi nahin
us ke darwaaze pe sau ahl-e-karam aate hain
mujh se kya baat likhaani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chaandi ke qalam aate hain
main ne do chaar kitaaben to padhi hain lekin
shehar ke taur-tareeqe mujhe kam aate hain
khoob-soorat sa koi haadisa aankhon mein liye
ghar ki dahleez pe darte hue ham aate hain
कोई लश्कर कि धड़कते हुए ग़म आते हैं
शाम के साए बहुत तेज़ क़दम आते हैं
दिल वो दरवेश है जो आँख उठाता ही नहीं
उस के दरवाज़े पे सौ अहल-ए-करम आते हैं
मुझ से क्या बात लिखानी है कि अब मेरे लिए
कभी सोने कभी चाँदी के क़लम आते हैं
मैं ने दो चार किताबें तो पढ़ी हैं लेकिन
शहर के तौर-तरीक़े मुझे कम आते हैं
ख़ूब-सूरत सा कोई हादिसा आँखों में लिए
घर की दहलीज़ पे डरते हुए हम आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Dard Shayari Shayari