pehla sa vo zor nahin hai mere dukh ki sadaaon mein
shaayad paani nahin raha hai ab pyaase daryaon mein
jis baadal ki aas mein jode khol liye hain suhaagan ne
vo parbat se takra kar baras chuka seharaaon mein
jaane kab tadpe aur chamke sooni raat ko phir das jaaye
mujh ko ek ruphali naagin baithi mili hai ghataon mein
patta to aakhir patta tha gunjaan ghane darakhton ne
zameen ko tanhaa chhod diya hai itni tez hawaon mein
din bhar dhoop ki tarah se ham chhaaye rahte hain duniya par
raat hui to simat ke aa jaate hain dil ki gufaaon mein
khade hue jo saahil par to dil mein palkein bheeg gaeein
shaayad aansu chhupe hue hon subh ki narm hawaon mein
ghazal ke mandir mein deewaana moorat rakh kar chala gaya
kaun use pehle poojega bahs chali devataaon mein
पहला सा वो ज़ोर नहीं है मेरे दुख की सदाओं में
शायद पानी नहीं रहा है अब प्यासे दरियाओं में
जिस बादल की आस में जोड़े खोल लिए हैं सुहागन ने
वो पर्बत से टकरा कर बरस चुका सहराओं में
जाने कब तड़पे और चमके सूनी रात को फिर डस जाए
मुझ को एक रुपहली नागिन बैठी मिली है घटाओं में
पत्ता तो आख़िर पत्ता था गुंजान घने दरख़्तों ने
ज़मीं को तन्हा छोड़ दिया है इतनी तेज़ हवाओं में
दिन भर धूप की तरह से हम छाए रहते हैं दुनिया पर
रात हुई तो सिमट के आ जाते हैं दिल की गुफाओं में
खड़े हुए जो साहिल पर तो दिल में पलकें भीग गईं
शायद आँसू छुपे हुए हों सुब्ह की नर्म हवाओं में
ग़ज़ल के मंदिर में दीवाना मूरत रख कर चला गया
कौन उसे पहले पूजेगा बहस चली देवताओं में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Neend Shayari Shayari