kisi ki yaad mein palkein zara bhigo lete | किसी की याद में पलकें ज़रा भिगो लेते

  - Bashir Badr

kisi ki yaad mein palkein zara bhigo lete
udaas raat ki tanhaaiyon mein ro lete

dukhon ka bojh akela nahin sambhalta hai
kahi vo milta to us se lipt ke ro lete

agar safar mein hamaara bhi hum-safar hota
badi khushi se unhi pattharon pe so lete

tumhaari raah mein shaakhon pe phool sookh gaye
kabhi hawa ki tarah is taraf bhi ho lete

ye kya ki roz wahi chaandni ka bistar ho
kabhi to dhoop ki chadar bichha ke so lete

किसी की याद में पलकें ज़रा भिगो लेते
उदास रात की तन्हाइयों में रो लेते

दुखों का बोझ अकेले नहीं सँभलता है
कहीं वो मिलता तो उस से लिपट के रो लेते

अगर सफ़र में हमारा भी हम-सफ़र होता
बड़ी ख़ुशी से उन्ही पत्थरों पे सो लेते

तुम्हारी राह में शाख़ों पे फूल सूख गए
कभी हवा की तरह इस तरफ़ भी हो लेते

ये क्या कि रोज़ वही चाँदनी का बिस्तर हो
कभी तो धूप की चादर बिछा के सो लेते

  - Bashir Badr

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari