ab kise chahein kise dhoonda karein
vo bhi aakhir mil gaya ab kya karein
halki halki baarishen hoti raheen
ham bhi phoolon ki tarah bheega karein
aankh moonde us gulaabi dhoop mein
der tak baithe use socha karein
dil mohabbat deen duniya shaay'ri
har dariche se tujhe dekha karein
ghar naya kapde naye bartan naye
in purane kaaghazon ka kya karein
अब किसे चाहें किसे ढूँडा करें
वो भी आख़िर मिल गया अब क्या करें
हल्की हल्की बारिशें होती रहीं
हम भी फूलों की तरह भीगा करें
आँख मूँदे उस गुलाबी धूप में
देर तक बैठे उसे सोचा करें
दिल मोहब्बत दीन दुनिया शाइ'री
हर दरीचे से तुझे देखा करें
घर नया कपड़े नए बर्तन नए
इन पुराने काग़ज़ों का क्या करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Ujaala Shayari Shayari