na jee bhar ke dekha na kuchh baat ki
badi aarzoo thi mulaqaat ki
ujaalon ki pariyaan nahaane lagin
nadi gungunaai khayaalaat ki
main chup tha to chalti hawa ruk gai
zabaan sab samjhte hain jazbaat ki
muqaddar meri chashm-e-pur-aab ka
barasti hui raat barsaat ki
kai saal se kuchh khabar hi nahin
kahaan din guzaara kahaan raat ki
न जी भर के देखा न कुछ बात की
बड़ी आरज़ू थी मुलाक़ात की
उजालों की परियाँ नहाने लगीं
नदी गुनगुनाई ख़यालात की
मैं चुप था तो चलती हवा रुक गई
ज़बाँ सब समझते हैं जज़्बात की
मुक़द्दर मिरी चश्म-ए-पुर-आब का
बरसती हुई रात बरसात की
कई साल से कुछ ख़बर ही नहीं
कहाँ दिन गुज़ारा कहाँ रात की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Dua Shayari Shayari