ye charaagh be-nazar hai ye sitaara be-zabaan hai | ये चराग़ बे-नज़र है ये सितारा बे-ज़बाँ है

  - Bashir Badr

ye charaagh be-nazar hai ye sitaara be-zabaan hai
abhi tujh se milta-julta koi doosra kahaan hai

wahi shakhs jis pe apne dil-o-jaan nisaar kar doon
vo agar khafa nahin hai to zaroor bad-gumaan hai

kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko paana
ye janam janam ka rishta tire mere darmiyaan hai

mere saath chalne waale tujhe kya mila safar mein
wahi dukh-bhari zameen hai wahi gham ka aasmaan hai

main isee gumaan mein barson bada mutmain raha hoon
tira jism be-tagayyur mera pyaar jaavedaan hai

unhin raaston ne jin par kabhi tum the saath mere
mujhe rok rok poocha tira hum-safar kahaan hai

ये चराग़ बे-नज़र है ये सितारा बे-ज़बाँ है
अभी तुझ से मिलता-जुलता कोई दूसरा कहाँ है

वही शख़्स जिस पे अपने दिल-ओ-जाँ निसार कर दूँ
वो अगर ख़फ़ा नहीं है तो ज़रूर बद-गुमाँ है

कभी पा के तुझ को खोना कभी खो के तुझ को पाना
ये जनम जनम का रिश्ता तिरे मेरे दरमियाँ है

मिरे साथ चलने वाले तुझे क्या मिला सफ़र में
वही दुख-भरी ज़मीं है वही ग़म का आसमाँ है

मैं इसी गुमाँ में बरसों बड़ा मुतमइन रहा हूँ
तिरा जिस्म बे-तग़य्युर मिरा प्यार जावेदाँ है

उन्हीं रास्तों ने जिन पर कभी तुम थे साथ मेरे
मुझे रोक रोक पूछा तिरा हम-सफ़र कहाँ है

  - Bashir Badr

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari