sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai | सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है

  - Bismil Azimabadi

sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

ai shaheed-e-mulk-o-millat main tire oopar nisaar
le tiri himmat ka charcha gair ki mehfil mein hai

waaye qismat paanv ki ai zof kuchh chalti nahin
kaarwaan apna abhi tak pehli hi manzil mein hai

raharav-e-raah-e-mohabbat rah na jaana raah mein
lazzat-e-sehra-navardi doori-e-manzil mein hai

shauq se raah-e-mohabbat ki museebat jhel le
ik khushi ka raaz pinhaan jaada-e-manzil mein hai

aaj phir maqtal mein qaateel kah raha hai baar baar
aayein vo shauq-e-shahaadat jin ke jin ke dil mein hai

marne waalo aao ab gardan katao shauq se
ye ghaneemat waqt hai khanjar kaf-e-qaatil mein hai

maane-e-izhaar tum ko hai haya ham ko adab
kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamaare dil mein hai

may-kada sunsaan khum ulte pade hain jaam choor
sar-nigoon baitha hai saaqi jo tiri mehfil mein hai

waqt aane de dikha denge tujhe ai aasmaan
ham abhi se kyun bataayein kya hamaare dil mein hai

ab na agle valvale hain aur na vo armaan ki bheed
sirf mit jaane ki ik hasrat dil-e-'bismil mein hai

सरफ़रोशी की तमन्ना अब हमारे दिल में है
देखना है ज़ोर कितना बाज़ू-ए-क़ातिल में है

ऐ शहीद-ए-मुल्क-ओ-मिल्लत मैं तिरे ऊपर निसार
ले तिरी हिम्मत का चर्चा ग़ैर की महफ़िल में है

वाए क़िस्मत पाँव की ऐ ज़ोफ़ कुछ चलती नहीं
कारवाँ अपना अभी तक पहली ही मंज़िल में है

रहरव-ए-राह-ए-मोहब्बत रह न जाना राह में
लज़्ज़त-ए-सहरा-नवर्दी दूरी-ए-मंज़िल में है

शौक़ से राह-ए-मोहब्बत की मुसीबत झेल ले
इक ख़ुशी का राज़ पिन्हाँ जादा-ए-मंज़िल में है

आज फिर मक़्तल में क़ातिल कह रहा है बार बार
आएँ वो शौक़-ए-शहादत जिन के जिन के दिल में है

मरने वालो आओ अब गर्दन कटाओ शौक़ से
ये ग़नीमत वक़्त है ख़ंजर कफ़-ए-क़ातिल में है

माने-ए-इज़हार तुम को है हया, हम को अदब
कुछ तुम्हारे दिल के अंदर कुछ हमारे दिल में है

मय-कदा सुनसान ख़ुम उल्टे पड़े हैं जाम चूर
सर-निगूँ बैठा है साक़ी जो तिरी महफ़िल में है

वक़्त आने दे दिखा देंगे तुझे ऐ आसमाँ
हम अभी से क्यूँ बताएँ क्या हमारे दिल में है

अब न अगले वलवले हैं और न वो अरमाँ की भीड़
सिर्फ़ मिट जाने की इक हसरत दिल-ए-'बिस्मिल' में है

  - Bismil Azimabadi

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bismil Azimabadi

As you were reading Shayari by Bismil Azimabadi

Similar Writers

our suggestion based on Bismil Azimabadi

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari