tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai | तुम्हारा क्या है तुम्हें सिर्फ़ ज्ञान देना है

  - Charagh Sharma

tumhaara kya hai tumhein sirf gyaan dena hai
hamaari socho hamein imtihaan dena hai

gulaab bhi hain gulaabon mein khaar bhi hain bata
nishaani deni hai ya phir nishaan dena hai

tera sawaal meri jaan ka sawaal hai aur
jawaab dene se aasaan jaan dena hai

unhonne apne mutaabiq saza suna di hai
hamein saza ke mutaabiq bayaan dena hai

ye bezubaanon ki mehfil hai dost yaad rahe
yahan khamoshi ka matlab zubaan dena hai

तुम्हारा क्या है तुम्हें सिर्फ़ ज्ञान देना है
हमारी सोचो हमें इम्तिहान देना है

गुलाब भी हैं गुलाबों में ख़ार भी हैं बता
निशानी देनी है या फिर निशान देना है

तेरा सवाल मेरी जान का सवाल है और
जवाब देने से आसान जान देना है

उन्होंने अपने मुताबिक़ सज़ा सुना दी है
हमें सज़ा के मुताबिक़ बयान देना है

ये बेज़ुबानों की महफ़िल है दोस्त याद रहे
यहाँ ख़मोशी का मतलब ज़ुबान देना है

  - Charagh Sharma

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari