vo hans ke dekhti hoti to usse baat karte | वो हँस के देखती होती तो उससे बात करते

  - Charagh Sharma

vo hans ke dekhti hoti to usse baat karte
koi ummeed bhi hoti to usse baat karte

ham station se baahar aaye is afsos ke saath
vo ladki ajnabi hoti to usse baat karte

hamaare jaam aadhi hausla-afzaai kar paaye
agar usne bhi pee hoti to usse baat karte

ham uske jhumkon ki larzish pe akshar sochte hain
hawa se dosti hoti to usse baat karte

ye khaamoshi bhi kya hai guftagoo ki inteha hai
koi baat ankahi hoti to usse baat karte

tavajjoh se bahut sharmati hai awaaz apni
agar vo so rahi hoti to usse baat karte

kisi se baat karna itna mushkil bhi nahin tha
kisi ne baat ki hoti to usse baat karte

वो हँस के देखती होती तो उससे बात करते
कोई उम्मीद भी होती तो उससे बात करते

हम स्टेशन से बाहर आए इस अफ़सोस के साथ
वो लड़की अजनबी होती तो उससे बात करते

हमारे जाम आधी हौसला-अफ़ज़ाई कर पाए
अगर उसने भी पी होती तो उससे बात करते

हम उसके झुमकों की लरज़िश पे अक्सर सोचते हैं
हवा से दोस्ती होती तो उससे बात करते

ये ख़ामोशी भी क्या है गुफ़्तगू की इंतेहा है
कोई बात अनकही होती तो उससे बात करते

तवज्जो से बहुत शर्माती है आवाज़ अपनी
अगर वो सो रही होती तो उससे बात करते

किसी से बात करना इतना मुश्किल भी नहीं था
किसी ने बात की होती तो उससे बात करते

  - Charagh Sharma

Afsos Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Afsos Shayari Shayari