auron ki pyaas aur hai aur us ki pyaas aur | औरों की प्यास और है और उस की प्यास और

  - Charagh Sharma

auron ki pyaas aur hai aur us ki pyaas aur
kehta hai har gilaas pe bas ik gilaas aur

khud ko kai baras se ye samjha rahe hain ham
kaatee hai itni umr to do-chaar maas aur

pehle hi kam haseen kahaan tha tumhaara gham
pahna diya hai us ko ghazal ka libaas aur

takra rahi hai saans meri us ki saans se
dil phir bhi de raha hai sada aur paas aur

allah us ka lahzah-e-sheereen ki kya kahoon
wallaah us pe urdu zabaan ki mithaas aur

baandha hai ab naqaab to phir kas ke baandh le
ik ghoont pee ke ye na ho badh jaaye pyaas aur

ghalib hayaat hote to karte ye e'tiraaf
daur-e-charaagh mein hai ghazal ka class aur

औरों की प्यास और है और उस की प्यास और
कहता है हर गिलास पे बस इक गिलास और

ख़ुद को कई बरस से ये समझा रहे हैं हम
काटी है इतनी उम्र तो दो-चार मास और

पहले ही कम हसीन कहाँ था तुम्हारा ग़म
पहना दिया है उस को ग़ज़ल का लिबास और

टकरा रही है साँस मिरी उस की साँस से
दिल फिर भी दे रहा है सदा और पास और

अल्लाह उस का लहजा-ए-शीरीं कि क्या कहूँ
वल्लाह उस पे उर्दू ज़बाँ की मिठास और

बाँधा है अब नक़ाब तो फिर कस के बाँध ले
इक घूँट पी के ये न हो बढ़ जाए प्यास और

'ग़ालिब' हयात होते तो करते ये ए'तिराफ़
दौर-ए-'चराग़' में है ग़ज़ल का क्लास और

  - Charagh Sharma

Romantic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Romantic Shayari Shayari