ai phool bechne waale tujhe gumaan bhi hai
ki tere shehar mein tezaab ki dukaan bhi hai
hamaare dil mein kabhi paanv ke nishaan bana
ki is sadak ki taraf teer ka nishaan bhi hai
ye aasmaan agar saayebaan hai tera
to bhool mat ki kisi ka ye paaydaan bhi hai
jab aaj usne bataaya to mujhko yaad aaya
yahi ki uski gali mein mera makaan bhi hai
ऐ फूल बेचने वाले तुझे गुमान भी है
कि तेरे शहर में तेज़ाब की दुकान भी है
हमारे दिल में कभी पाँव के निशान बना
कि इस सड़क की तरफ़ तीर का निशान भी है
ये आसमान अगर साएबान है तेरा
तो भूल मत कि किसी का ये पायदान भी है
जब आज उसने बताया तो मुझको याद आया
यही कि उसकी गली में मेरा मकान भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Sharma
our suggestion based on Charagh Sharma
As you were reading Aasman Shayari Shayari