vo shaant baitha hai kabse main shor kyun na karoon | वो शांत बैठा है कबसे मैं शोर क्यूँ न करूँ

  - Charagh Sharma

vo shaant baitha hai kabse main shor kyun na karoon
bas ek baar vo kah de ki chup to chun na karoon

khataayein isliye karta hoon main ki jaanta hoon
saza mujhe hi milegi khata karoon na karoon

dukhi hoon main ki hamein ek din bichadna hai
bichadna hai to riyaazat abhi se kyun na karoon

jo ishq karta hai aakhir mein ahad karta hai
ki ab main ishq na auron ko karne doon na karoon

mere charaag-e-ana ko hai ab lahu darkaar
to kya karoon main agar khwahishon ka khoon karoon

वो शांत बैठा है कबसे मैं शोर क्यूँ न करूँ
बस एक बार वो कह दे कि चुप तो चूँ न करूँ

ख़ताएँ इसलिए करता हूँ मैं कि जानता हूँ
सज़ा मुझे ही मिलेगी ख़ता करूँ न करूँ

दुखी हूँ मैं कि हमें एक दिन बिछड़ना है
बिछड़ना है तो रियाज़त अभी से क्यूँ न करूँ

जो इश्क़ करता है आख़िर में अहद करता है
कि अब मैं इश्क़ न औरों को करने दूँ न करूँ

मेरे चराग़-ए-अना को है अब लहू दरकार
तो क्या करूँ मैं अगर ख़्वाहिशों का ख़ूँ करूँ

  - Charagh Sharma

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari