titli se dosti na gulaabon ka shauq hai | तितली से दोस्ती न गुलाबों का शौक़ है

  - Charagh Sharma

titli se dosti na gulaabon ka shauq hai
meri tarah use bhi kitaabon ka shauq hai

warna to neend se bhi nahin koi khaas rabt
aankhon ko sirf aap ke khwaabon ka shauq hai

ham aashiq-e-ghazal hain to maghroor kyun na hon
aakhir ye shauq bhi to nawaabon ka shauq hai

us shakhs ke fareb se waqif hain ham magar
kuchh apni pyaas ko hi saraabo ka shauq hai

girne do khud sambhalne do aise hi chalne do
ye to charaagh khaana-kharaabon ka shauq hai

तितली से दोस्ती न गुलाबों का शौक़ है
मेरी तरह उसे भी किताबों का शौक़ है

वर्ना तो नींद से भी नहीं कोई ख़ास रब्त
आँखों को सिर्फ़ आप के ख़्वाबों का शौक़ है

हम आशिक़-ए-ग़ज़ल हैं तो मग़रूर क्यों न हों
आख़िर ये शौक़ भी तो नवाबों का शौक़ है

उस शख़्स के फ़रेब से वाक़िफ़ हैं हम मगर
कुछ अपनी प्यास को ही सराबों का शौक़ है

गिरने दो ख़ुद सँभलने दो ऐसे ही चलने दो
ये तो 'चराग़' ख़ाना-ख़राबों का शौक़ है

  - Charagh Sharma

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari