chaman mein kaun babulon ki daal kheenchta hai
yahan jo aata hai phoolon ke gaal kheenchta hai
vo teer baad mein pehle sawaal kheenchta hai
sawaal bhi jo sama'at ki khaal kheenchta hai
ai pyaar baantne waale main khoob jaanta hoon
ki kitni der mein machwaara jaal kheenchta hai
nikal bhi saka hoon qaid-e-takhayyulaat se gar
vo shakhs kheench le jis ka khayal kheenchta hai
main us ke aage nahin kheenchta niyaam se teg
vo sher-shah jo dushman ki dhaal kheenchta hai
ye sard subh mein soya sharaati suraj
bas aankh khulte hi pariyon ki shaal kheenchta hai
main hosh-mand hoon khud bhi so meri ghazalon mein
na raqs karta hai aashiq na baal kheenchta hai
चमन में कौन बबूलों की डाल खींचता है
यहाँ जो आता है फूलों के गाल खींचता है
वो तीर बाद में पहले सवाल खींचता है
सवाल भी जो समाअ'त की खाल खींचता है
ऐ प्यार बाँटने वाले मैं ख़ूब जानता हूँ
कि कितनी देर में मछवारा जाल खींचता है
निकल भी सकता हूँ क़ैद-ए-तख़य्युलात से गर
वो शख़्स खींच ले जिस का ख़याल खींचता है
मैं उस के आगे नहीं खींचता नियाम से तेग़
वो शेर-शाह जो दुश्मन की ढाल खींचता है
ये सर्द सुब्ह में सोया शरारती सूरज
बस आँख खुलते ही परियों की शाल खींचता है
मैं होश-मंद हूँ ख़ुद भी सो मेरी ग़ज़लों में
न रक़्स करता है आशिक़ न बाल खींचता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Sharma
our suggestion based on Charagh Sharma
As you were reading Nature Shayari Shayari