meri udaasi mere darmiyaan band karo
koi saleeqe se ye itr-daan band karo
padha raha hoon main bacchon ko karbala ka nisaab
tum apni tishna-labi ka bakhaan band karo
zara samajhne ki koshish karo mere ashko
vo aaj khush hai tum apni zabaan band karo
main ek shart pe raazi hoon qaid hone ko
isee qafas mein mera aasmaan band karo
mujhe akela mein karne hain khud se kuchh baatein
ye mera hukm hai deewaaro kaan band karo
ghazal mein laane se gham aur badh gaya hai charaagh
shatar girao sukhun ki dukaan band karo
मिरी उदासी मिरे दरमियान बंद करो
कोई सलीक़े से ये इत्र-दान बंद करो
पढ़ा रहा हूँ मैं बच्चों को कर्बला का निसाब
तुम अपनी तिश्ना-लबी का बखान बंद करो
ज़रा समझने की कोशिश करो मिरे अश्को
वो आज ख़ुश है तुम अपनी ज़बान बंद करो
मैं एक शर्त पे राज़ी हूँ क़ैद होने को
इसी क़फ़स में मिरा आसमान बंद करो
मुझे अकेले में करनी हैं ख़ुद से कुछ बातें
ये मेरा हुक्म है दीवारो कान बंद करो
ग़ज़ल में लाने से ग़म और बढ़ गया है 'चराग़'
शटर गिराओ सुख़न की दुकान बंद करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Sharma
our suggestion based on Charagh Sharma
As you were reading Dard Shayari Shayari