umooman ham akela baithe hain
vo baitha hai to chaliye baithe hain
meri aankhon mein gunjaish to kam hai
par us ke khwaab poore baithe hain
uthiin nazrein to nazaron se girengे
yahan nazaron pe pahre baithe hain
adab ka farsh hai ye is pe bacche
buzurgon ke sahaare baithe hain
vo khud markaz mein thodi baithta hai
sab us ke aage peeche baithe hain
udaasi se bharosa uth raha hai
chalo naasir ko padhne baithe hain
उमूमन हम अकेले बैठते हैं
वो बैठा है तो चलिए बैठते हैं
मिरी आँखों में गुंजाइश तो कम है
पर उस के ख़्वाब पूरे बैठते हैं
उठीं नज़रें तो नज़रों से गिरेंगे
यहाँ नज़रों पे पहरे बैठते हैं
अदब का फ़र्श है ये इस पे बच्चे
बुज़ुर्गों के सहारे बैठते हैं
वो ख़ुद मरकज़ में थोड़ी बैठता है
सब उस के आगे पीछे बैठते हैं
उदासी से भरोसा उठ रहा है
चलो 'नासिर' को पढ़ने बैठते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Sharma
our suggestion based on Charagh Sharma
As you were reading Wahshat Shayari Shayari