thak jaata hoon roz ke aane jaane mein
mera bistar lagwa do maykhaane mein
us ke haath mein phool hai mat kahiye kahiye
us ka haath hai phool ko phool banaane mein
main kab se mauqe ki taq mein hoon us ko
jaan-e-man kah doon jaane anjaane mein
aankhon mein mat rok mujhe jaana hai udhar
ye rasta khulta hai jis tah-khaane mein
laad na us ke husn ka itna bojh charaagh
aa jaayegi moch ghazal ke shaane mein
थक जाता हूँ रोज़ के आने जाने में
मेरा बिस्तर लगवा दो मयख़ाने में
उस के हाथ में फूल है मत कहिए कहिए
उस का हाथ है फूल को फूल बनाने में
मैं कब से मौक़े की ताक़ में हूँ उस को
जान-ए-मन कह दूँ जाने अनजाने में
आँखों में मत रोक मुझे जाना है उधर
ये रस्ता खुलता है जिस तह-ख़ाने में
लाद न उस के हुस्न का इतना बोझ 'चराग़'
आ जाएगी मोच ग़ज़ल के शाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Charagh Sharma
our suggestion based on Charagh Sharma
As you were reading Nature Shayari Shayari