gazab kiya tire wa'de pe e'tibaar kiya | ग़ज़ब किया तिरे वअ'दे पे ए'तिबार किया

  - Dagh Dehlvi

gazab kiya tire wa'de pe e'tibaar kiya
tamaam raat qayamat ka intizaar kiya

kisi tarah jo na us but ne e'tibaar kiya
meri wafa ne mujhe khoob sharmasaar kiya

hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-baar kiya
tasalliyaan mujhe de de ke be-qaraar kiya

ye kis ne jalwa hamaare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha haaye be-qaraar kiya

suna hai teg ko qaateel ne aab-daar kiya
agar ye sach hai to be-shubah ham pe vaar kiya

na aaye raah pe vo izz be-shumaar kiya
shab-e-visaal bhi main ne to intizaar kiya

tujhe to vaada-e-deedaar ham se karna tha
ye kya kiya ki jahaan ko umeed-waar kiya

ye dil ko taab kahaan hai ki ho maal-andesh
unhon ne wa'ada kiya is ne e'tibaar kiya

kahaan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim
b tang aaye to haal-e-dil aashkaar kiya

tadap phir ai dil-e-naadaan ki gair kahte hain
akheer kuchh na bani sabr ikhtiyaar kiya

mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini
tamaam raat dil-e-muztarib ko pyaar kiya

bhula bhula ke jataaya hai un ko raaz-e-nihaan
chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkaar kiya

na us ke dil se mitaaya ki saaf ho jaata
saba ne khaak pareshaan mera ghubaar kiya

ham aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhaare taghaaful ne hoshyaar kiya

hamaare seene mein jo rah gai thi aatish-e-hijr
shab-e-visaal bhi us ko na ham-kinaar kiya

raqeeb o sheva-e-ulfat khuda ki qudrat hai
vo aur ishq bhala tum ne e'tibaar kiya

zabaan-e-khaar se nikli sada-e-bismillah
junoon ko jab sar-e-shooreeda par sawaar kiya

tiri nigaah ke tasavvur mein ham ne ai qaateel
laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya

gazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein
hazaar baar raqeebon ko ham-kinaar kiya

hua hai koi magar us ka chaahne waala
ki aasmaan ne tira sheva ikhtiyaar kiya

na pooch dil ki haqeeqat magar ye kahte hain
vo be-qaraar rahe jis ne be-qaraar kiya

jab un ko tarz-e-sitam aa gaye to hosh aaya
bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya

fasaana-e-shab-e-gham un ko ik kahaani thi
kuchh e'tibaar kiya kuchh na e'tibaar kiya

aseeri dil-e-aashufta rang la ke rahi
tamaam turra-e-tarraar taar taar kiya

kuchh aa gai daavar-e-mahshar se hai ummeed mujhe
kuchh aap ne mere kehne ka e'tibaar kiya

kisi ke ishq-e-nihaan mein ye bad-gumaani thi
ki darte darte khuda par bhi aashkaar kiya

falak se taur qayamat ke ban na padte the
akheer ab tujhe aashob-e-rozgaar kiya

vo baat kar jo kabhi aasmaan se ho na sake
sitam kiya to bada tu ne iftikhaar kiya

banega mehr-e-qayaamat bhi ek khaal-e-siyaah
jo chehra daagh-e-siyah-roo ne aashkaar kiya

ग़ज़ब किया तिरे वअ'दे पे ए'तिबार किया
तमाम रात क़यामत का इंतिज़ार किया

किसी तरह जो न उस बुत ने ए'तिबार किया
मिरी वफ़ा ने मुझे ख़ूब शर्मसार किया

हँसा हँसा के शब-ए-वस्ल अश्क-बार किया
तसल्लियाँ मुझे दे दे के बे-क़रार किया

ये किस ने जल्वा हमारे सर-ए-मज़ार किया
कि दिल से शोर उठा हाए बे-क़रार किया

सुना है तेग़ को क़ातिल ने आब-दार किया
अगर ये सच है तो बे-शुबह हम पे वार किया

न आए राह पे वो इज्ज़ बे-शुमार किया
शब-ए-विसाल भी मैं ने तो इंतिज़ार किया

तुझे तो वादा-ए-दीदार हम से करना था
ये क्या किया कि जहाँ को उमीद-वार किया

ये दिल को ताब कहाँ है कि हो मआल-अंदेश
उन्हों ने वअ'दा किया इस ने ए'तिबार किया

कहाँ का सब्र कि दम पर है बन गई ज़ालिम
ब तंग आए तो हाल-ए-दिल आश्कार किया

तड़प फिर ऐ दिल-ए-नादाँ कि ग़ैर कहते हैं
अख़ीर कुछ न बनी सब्र इख़्तियार किया

मिले जो यार की शोख़ी से उस की बेचैनी
तमाम रात दिल-ए-मुज़्तरिब को प्यार किया

भुला भुला के जताया है उन को राज़-ए-निहाँ
छुपा छुपा के मोहब्बत को आश्कार किया

न उस के दिल से मिटाया कि साफ़ हो जाता
सबा ने ख़ाक परेशाँ मिरा ग़ुबार किया

हम ऐसे महव-ए-नज़ारा न थे जो होश आता
मगर तुम्हारे तग़ाफ़ुल ने होश्यार किया

हमारे सीने में जो रह गई थी आतिश-ए-हिज्र
शब-ए-विसाल भी उस को न हम-कनार किया

रक़ीब ओ शेवा-ए-उल्फ़त ख़ुदा की क़ुदरत है
वो और इश्क़ भला तुम ने ए'तिबार किया

ज़बान-ए-ख़ार से निकली सदा-ए-बिस्मिल्लाह
जुनूँ को जब सर-ए-शोरीदा पर सवार किया

तिरी निगह के तसव्वुर में हम ने ऐ क़ातिल
लगा लगा के गले से छुरी को प्यार किया

ग़ज़ब थी कसरत-ए-महफ़िल कि मैं ने धोके में
हज़ार बार रक़ीबों को हम-कनार किया

हुआ है कोई मगर उस का चाहने वाला
कि आसमाँ ने तिरा शेवा इख़्तियार किया

न पूछ दिल की हक़ीक़त मगर ये कहते हैं
वो बे-क़रार रहे जिस ने बे-क़रार किया

जब उन को तर्ज़-ए-सितम आ गए तो होश आया
बुरा हो दिल का बुरे वक़्त होश्यार किया

फ़साना-ए-शब-ए-ग़म उन को इक कहानी थी
कुछ ए'तिबार किया कुछ न ए'तिबार किया

असीरी दिल-ए-आशुफ़्ता रंग ला के रही
तमाम तुर्रा-ए-तर्रार तार तार किया

कुछ आ गई दावर-ए-महशर से है उम्मीद मुझे
कुछ आप ने मिरे कहने का ए'तिबार किया

किसी के इश्क़-ए-निहाँ में ये बद-गुमानी थी
कि डरते डरते ख़ुदा पर भी आश्कार किया

फ़लक से तौर क़यामत के बन न पड़ते थे
अख़ीर अब तुझे आशोब-ए-रोज़गार किया

वो बात कर जो कभी आसमाँ से हो न सके
सितम किया तो बड़ा तू ने इफ़्तिख़ार किया

बनेगा मेहर-ए-क़यामत भी एक ख़ाल-ए-सियाह
जो चेहरा 'दाग़'-ए-सियह-रू ने आश्कार किया

  - Dagh Dehlvi

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari