dekh kar joban tira kis kis ko hairaani hui | देख कर जोबन तिरा किस किस को हैरानी हुई

  - Dagh Dehlvi

dekh kar joban tira kis kis ko hairaani hui
is jawaani par jawaani aap deewani hui

parde parde mein mohabbat dushman-e-jaani hui
ye khuda ki maar kya ai shauq-e-pinhaani hui

dil ka sauda kar ke un se kya pashemaani hui
qadr us ki phir kahaan jis shay ki arzaani hui

mere ghar us shokh ki do din se mehmaani hui
bekasi ki aaj kal kya khaana-veeraani hui

tark-e-rasm-o-raah par afsos hai dono taraf
ham se nadaani hui ya tum se nadaani hui

ibtida se intiha tak haal un se kah to doon
fikr ye hai aur jo kah kar pashemaani hui

gham qayamat ka nahin wa'iz mujhe ye fikr hai
deen kab baaki raha duniya agar faani hui

tum na shab ko aaoge ye hai yaqeen aaya hua
tum na maanoge meri ye baat hai maani hui

mujh mein dam jab tak raha mushkil mein the teemaardaar
meri aasaani se sab yaaron ki aasaani hui

is ko kya kahte hain utna hi badha shauq-e-visaal
jis qadar mashhoor un ki paak-damaani hui

bazm se uthne ki ghairat baithne se dil ko rashk
dekh kar ghairoon ka majma kya pareshaani hui

daava-e-taskheer par ye us paree-vash ne kaha
aap ka dil kya hua mohr-e-sulemaani hui

khul gaeein zulfen magar us shokh mast-e-naaz ki
jhoomti baad-e-saba phirti hai mastaani hui

main saraapa sajde karta us ke dar par shauq se
sar se pa tak kyun na peshaani hi peshaani hui

dil ki qalb-e-maahiyat ka ho use kyunkar yaqeen
kab hawa mitti hui hai aag kab paani hui

aate hi kahte ho ab ghar jaayenge achhi kahi
ye masal poori yahan man-maani ghar jaani hui

arsa-e-mahshar mein tujh ko dhundh laaun to sahi
koi chhup sakti hai jo soorat ho pahchaani hui

dekh kar qaateel ka khaali haath bhi jee dar gaya
us ki cheen-e-aasteen bhi cheen-e-peshaani hui

kha ke dhoka us but-e-kamsin ne daaman mein liye
ashk-afshaani bhi meri gauhar-afshaani hui

bekasi par meri apni teg ki hasrat to dekh
chashm-e-jauhar bhi b-shakl-e-chashm-e-hairaani hui

bekasi par daagh ki afsos aata hai hamein
kis jagah kis waqt us ki khaana-veeraani hui

देख कर जोबन तिरा किस किस को हैरानी हुई
इस जवानी पर जवानी आप दीवानी हुई

पर्दे पर्दे में मोहब्बत दुश्मन-ए-जानी हुई
ये ख़ुदा की मार क्या ऐ शौक़-ए-पिन्हानी हुई

दिल का सौदा कर के उन से क्या पशेमानी हुई
क़द्र उस की फिर कहाँ जिस शय की अर्ज़ानी हुई

मेरे घर उस शोख़ की दो दिन से मेहमानी हुई
बेकसी की आज कल क्या ख़ाना-वीरानी हुई

तर्क-ए-रस्म-ओ-राह पर अफ़्सोस है दोनों तरफ़
हम से नादानी हुई या तुम से नादानी हुई

इब्तिदा से इंतिहा तक हाल उन से कह तो दूँ
फ़िक्र ये है और जो कह कर पशेमानी हुई

ग़म क़यामत का नहीं वाइ'ज़ मुझे ये फ़िक्र है
दीन कब बाक़ी रहा दुनिया अगर फ़ानी हुई

तुम न शब को आओगे ये है यक़ीं आया हुआ
तुम न मानोगे मिरी ये बात है मानी हुई

मुझ में दम जब तक रहा मुश्किल में थे तीमारदार
मेरी आसानी से सब यारों की आसानी हुई

इस को क्या कहते हैं उतना ही बढ़ा शौक़-ए-विसाल
जिस क़दर मशहूर उन की पाक-दामानी हुई

बज़्म से उठने की ग़ैरत बैठने से दिल को रश्क
देख कर ग़ैरों का मजमा क्या परेशानी हुई

दावा-ए-तस्ख़ीर पर ये उस परी-वश ने कहा
आप का दिल क्या हुआ मोहर-ए-सुलेमानी हुई

खुल गईं ज़ुल्फ़ें मगर उस शोख़ मस्त-ए-नाज़ की
झूमती बाद-ए-सबा फिरती है मस्तानी हुई

मैं सरापा सज्दे करता उस के दर पर शौक़ से
सर से पा तक क्यूँ न पेशानी ही पेशानी हुई

दिल की क़ल्ब-ए-माहियत का हो उसे क्यूँकर यक़ीं
कब हवा मिट्टी हुई है आग कब पानी हुई

आते ही कहते हो अब घर जाएँगे अच्छी कही
ये मसल पूरी यहाँ मन-मानी घर जानी हुई

अरसा-ए-महशर में तुझ को ढूँड लाऊँ तो सही
कोई छुप सकती है जो सूरत हो पहचानी हुई

देख कर क़ातिल का ख़ाली हाथ भी जी डर गया
उस की चीन-ए-आस्तीं भी चीन-ए-पेशानी हुई

खा के धोका उस बुत-ए-कमसिन ने दामन में लिए
अश्क-अफ़्शानी भी मेरी गौहर-अफ़्शानी हुई

बेकसी पर मेरी अपनी तेग़ की हसरत तो देख
चश्म-ए-जौहर भी ब-शक्ल-ए-चश्म-ए-हैरानी हुई

बेकसी पर 'दाग़' की अफ़्सोस आता है हमें
किस जगह किस वक़्त उस की ख़ाना-वीरानी हुई

  - Dagh Dehlvi

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari