baaki jahaan mein qais na farhaad rah gaya | बाक़ी जहाँ में क़ैस न फ़रहाद रह गया

  - Dagh Dehlvi

baaki jahaan mein qais na farhaad rah gaya
afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya

ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya
khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya

paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe
main sau asiriyo mein bhi azaad rah gaya

chashm-e-sanam ne yun to bigaade hazaar ghar
ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya

mahshar mein ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka
jo bhoolna tha mujh ko wahi yaad rah gaya

un ki to ban padi ki lagi jaan muft haath
teri girah mein kya dil-e-naashaad rah gaya

pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar
dil mein buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya

yun aankh un ki kar ke ishaara palat gai
goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya

naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar
ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya

hain tere dil mein sab ke thikaane bure bhale
main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya

vo din gaye ki thi mere seene mein kuchh kharaash
ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya

soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk
dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya

ai daagh dil hi dil mein ghule zabt-e-ishq se
afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya

बाक़ी जहाँ में क़ैस न फ़रहाद रह गया
अफ़्साना आशिक़ों का फ़क़त याद रह गया

ये सख़्त-जाँ तो क़त्ल से नाशाद रह गया
ख़ंजर चला तो बाज़ू-ए-जल्लाद रह गया

पाबंदियों ने इश्क़ की बेकस रखा मुझे
मैं सौ असीरियों में भी आज़ाद रह गया

चश्म-ए-सनम ने यूँ तो बिगाड़े हज़ार घर
इक काबा चंद रोज़ को आबाद रह गया

महशर में जा-ए-शिकवा किया शुक्र यार का
जो भूलना था मुझ को वही याद रह गया

उन की तो बन पड़ी कि लगी जान मुफ़्त हाथ
तेरी गिरह में क्या दिल-ए-नाशाद रह गया

पुर-नूर हो रहेगा ये ज़ुल्मत-कदा अगर
दिल में बुतों का शौक़-ए-ख़ुदा-दाद रह गया

यूँ आँख उन की कर के इशारा पलट गई
गोया कि लब से हो के कुछ इरशाद रह गया

नासेह का जी चला था हमारी तरह मगर
उल्फ़त की देख देख के उफ़्ताद रह गया

हैं तेरे दिल में सब के ठिकाने बुरे भले
मैं ख़ानुमाँ-ख़राब ही बर्बाद रह गया

वो दिन गए कि थी मिरे सीने में कुछ ख़राश
अब दिल कहाँ है दिल का निशाँ याद रह गया

सूरत को तेरी देख के खिंचती है जान-ए-ख़ल्क़
दिल अपना थाम थाम के बहज़ाद रह गया

ऐ 'दाग़' दिल ही दिल में घुले ज़ब्त-ए-इश्क़ से
अफ़्सोस शौक़-ए-नाला-ओ-फ़रियाद रह गया

  - Dagh Dehlvi

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari