teri soorat ko dekhta hoon main
us ki qudrat ko dekhta hoon main
jab hui subh aa gaye naaseh
unhin hazrat ko dekhta hoon main
vo museebat sooni nahin jaati
jis museebat ko dekhta hoon main
dekhne aaye hain jo meri nabz
un ki soorat ko dekhta hoon main
maut mujh ko dikhaai deti hai
jab tabeeyat ko dekhta hoon main
shab-e-furqat utha utha kar sar
subh-e-ishrat ko dekhta hoon main
door baitha hua sar-e-mahfil
rang-e-sohbat ko dekhta hoon main
har museebat hai be-maza shab-e-gham
aafat aafat ko dekhta hoon main
na mohabbat ko jaante ho tum
na muravvat ko dekhta hoon main
koi dushman ko yun na dekhega
jaise qismat ko dekhta hoon main
hashr mein daagh koi dost nahin
saari khilqat ko dekhta hoon main
तेरी सूरत को देखता हूँ मैं
उस की क़ुदरत को देखता हूँ मैं
जब हुई सुब्ह आ गए नासेह
उन्हीं हज़रत को देखता हूँ मैं
वो मुसीबत सुनी नहीं जाती
जिस मुसीबत को देखता हूँ मैं
देखने आए हैं जो मेरी नब्ज़
उन की सूरत को देखता हूँ मैं
मौत मुझ को दिखाई देती है
जब तबीअत को देखता हूँ मैं
शब-ए-फ़ुर्क़त उठा उठा कर सर
सुब्ह-ए-इशरत को देखता हूँ मैं
दूर बैठा हुआ सर-ए-महफ़िल
रंग-ए-सोहबत को देखता हूँ मैं
हर मुसीबत है बे-मज़ा शब-ए-ग़म
आफ़त आफ़त को देखता हूँ मैं
न मोहब्बत को जानते हो तुम
न मुरव्वत को देखता हूँ मैं
कोई दुश्मन को यूँ न देखेगा
जैसे क़िस्मत को देखता हूँ मैं
हश्र में 'दाग़' कोई दोस्त नहीं
सारी ख़िल्क़त को देखता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Kismat Shayari Shayari