ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota
koi fitna ta-qayamat na phir aashkaar hota
tire dil pe kaash zalim mujhe ikhtiyaar hota
jo tumhaari tarah tum se koi jhoote vaade karta
tumheen munsifi se kah do tumhein e'tibaar hota
gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khaate
ye vo zahar hai ki aakhir may-e-khush-gawaar hota
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti
na tujhe qaraar hota na mujhe qaraar hota
na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
koi gair gair hota koi yaar yaar hota
tire vaade par sitamgar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamein e'tibaar hota
ye vo dard-e-dil nahin hai ki ho chaarasaaz koi
agar ek baar mitaa to hazaar baar hota
gaye hosh tere zaahid jo vo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ult na dete jo na baada-khwaar hota
mujhe maante sab aisa ki adoo bhi sajde karte
dar-e-yaar kaaba banta jo mera mazaar hota
tumhein naaz ho na kyunkar ki liya hai daagh ka dil
ye raqam na haath lagti na ye iftikhaar hota
अजब अपना हाल होता जो विसाल-ए-यार होता
कभी जान सदक़े होती कभी दिल निसार होता
कोई फ़ित्ना ता-क़यामत न फिर आश्कार होता
तिरे दिल पे काश ज़ालिम मुझे इख़्तियार होता
जो तुम्हारी तरह तुम से कोई झूटे वादे करता
तुम्हीं मुंसिफ़ी से कह दो तुम्हें ए'तिबार होता
ग़म-ए-इश्क़ में मज़ा था जो उसे समझ के खाते
ये वो ज़हर है कि आख़िर मय-ए-ख़ुश-गवार होता
ये मज़ा था दिल-लगी का कि बराबर आग लगती
न तुझे क़रार होता न मुझे क़रार होता
न मज़ा है दुश्मनी में न है लुत्फ़ दोस्ती में
कोई ग़ैर ग़ैर होता कोई यार यार होता
तिरे वादे पर सितमगर अभी और सब्र करते
अगर अपनी ज़िंदगी का हमें ए'तिबार होता
ये वो दर्द-ए-दिल नहीं है कि हो चारासाज़ कोई
अगर एक बार मिटता तो हज़ार बार होता
गए होश तेरे ज़ाहिद जो वो चश्म-ए-मस्त देखी
मुझे क्या उलट न देते जो न बादा-ख़्वार होता
मुझे मानते सब ऐसा कि अदू भी सज्दे करते
दर-ए-यार काबा बनता जो मिरा मज़ार होता
तुम्हें नाज़ हो न क्यूँकर कि लिया है 'दाग़' का दिल
ये रक़म न हाथ लगती न ये इफ़्तिख़ार होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi
our suggestion based on Dagh Dehlvi
As you were reading Charagh Shayari Shayari