kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya | कौन सा ताइर-ए-गुम-गश्ता उसे याद आया

  - Dagh Dehlvi

kaun sa taair-e-gum-gashta use yaad aaya
dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya

mere qaabu mein na paharon dil-e-naashaad aaya
vo mera bhoolne waala jo mujhe yaad aaya

koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya
ki tabassum tujhe zalim dam-e-bedaad aaya

laaye hain log janaaze ki tarah mahshar mein
kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya

jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kehna
khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassaad aaya

us ke jalwe ko garz kaun-o-makaan se kya tha
daad lene ke liye husn-e-khuda-daad aaya

bastiyon se yahi awaaz chali aati hai
jo kiya tu ne vo aage tire farhaad aaya

dil-e-veeraan se raqeebon ne muraadein paai
kaam kis kis ke mera khirman-e-barbaad aaya

ishq ke aate hi munh par mere phooli hai basant
ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya

ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna
jab mere haath koi khaama-e-faulaad aaya

eed hai qatl mera ahl-e-tamaasha ke liye
sab gale milne lage jab ki vo jallaad aaya

chain karte hain wahan ranj uthaane waale
kaam uqba mein hamaara dil-e-naashaad aaya

di shab-e-wasl mo'azzin ne azaan pichhli raat
haaye kam-bakht ko kis waqt khuda yaad aaya

mere naale ne sunaai hai kharee kis kis ko
munh farishton pe ye gustaakh ye azaad aaya

gham-e-jaaved ne di mujh ko mubaarakbaadi
jab suna ye ki unhen sheva-e-bedaad aaya

main tamanna-e-shahaadat ka maza bhool gaya
aaj is shauq se armaan se jallaad aaya

shaadiyaana jo diya naala o shevan ne diya
jab mulaqaat ko naashaad ki naashaad aaya

leejie suniye ab afsaana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aaya

aap ki bazm mein sab kuchh hai magar daagh nahin
ham ko vo khaana-kharaab aaj bahut yaad aaya

कौन सा ताइर-ए-गुम-गश्ता उसे याद आया
देखता भालता हर शाख़ को सय्याद आया

मेरे क़ाबू में न पहरों दिल-ए-नाशाद आया
वो मिरा भूलने वाला जो मुझे याद आया

कोई भूला हुआ अंदाज़-ए-सितम याद आया
कि तबस्सुम तुझे ज़ालिम दम-ए-बेदाद आया

लाए हैं लोग जनाज़े की तरह महशर में
किस मुसीबत से तिरा कुश्ता-ए-बेदाद आया

जज़्ब-ए-वहशत तिरे क़ुर्बान तिरा क्या कहना
खिंच के रग रग में मिरे नश्तर-ए-फ़स्साद आया

उस के जल्वे को ग़रज़ कौन-ओ-मकाँ से क्या था
दाद लेने के लिए हुस्न-ए-ख़ुदा-दाद आया

बस्तियों से यही आवाज़ चली आती है
जो किया तू ने वो आगे तिरे फ़रहाद आया

दिल-ए-वीराँ से रक़ीबों ने मुरादें पाईं
काम किस किस के मिरा ख़िर्मन-ए-बर्बाद आया

इश्क़ के आते ही मुँह पर मिरे फूली है बसंत
हो गया ज़र्द ये शागिर्द जब उस्ताद आया

हो गया फ़र्ज़ मुझे शौक़ का दफ़्तर लिखना
जब मिरे हाथ कोई ख़ामा-ए-फ़ौलाद आया

ईद है क़त्ल मिरा अहल-ए-तमाशा के लिए
सब गले मिलने लगे जब कि वो जल्लाद आया

चैन करते हैं वहाँ रंज उठाने वाले
काम उक़्बा में हमारा दिल-ए-नाशाद आया

दी शब-ए-वस्ल मोअज़्ज़िन ने अज़ाँ पिछली रात
हाए कम-बख़्त को किस वक़्त ख़ुदा याद आया

मेरे नाले ने सुनाई है खरी किस किस को
मुँह फ़रिश्तों पे ये गुस्ताख़ ये आज़ाद आया

ग़म-ए-जावेद ने दी मुझ को मुबारकबादी
जब सुना ये कि उन्हें शेवा-ए-बेदाद आया

मैं तमन्ना-ए-शहादत का मज़ा भूल गया
आज इस शौक़ से अरमान से जल्लाद आया

शादियाना जो दिया नाला ओ शेवन ने दिया
जब मुलाक़ात को नाशाद की नाशाद आया

लीजिए सुनिए अब अफ़्साना-ए-फ़ुर्क़त मुझ से
आप ने याद दिलाया तो मुझे याद आया

आप की बज़्म में सब कुछ है मगर 'दाग़' नहीं
हम को वो ख़ाना-ख़राब आज बहुत याद आया

  - Dagh Dehlvi

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari