tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain | तमाशा-ए-दैर-ओ-हरम देखते हैं

  - Dagh Dehlvi

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain
tujhe har bahaane se ham dekhte hain

hamaari taraf ab vo kam dekhte hain
vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain

zamaane ke kya kya sitam dekhte hain
humeen jaante hain jo ham dekhte hain

phire but-kade se to ai ahl-e-kaaba
phir aa kar tumhaare qadam dekhte hain

hamein chashm-e-beena dikhaati hai sab kuchh
vo andhe hain jo jaam-e-jam dekhte hain

na eema-e-khwaahish na izhaar-e-matlub
mere munh ko ahl-e-karam dekhte hain

kabhi todate hain vo khanjar ko apne
kabhi nabz-e-bismil mein dam dekhte hain

ghaneemat hai chashm-e-tagaaful bhi un ki
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain

garz kya ki samjhen mere khat ka mazmoon
vo unwaan o tarz-e-raqam dekhte hain

salaamat rahe dil bura hai ki achha
hazaaron mein ye ek dam dekhte hain

raha kaun mehfil mein ab aane waala
vo chaaron taraf dam-b-dam dekhte hain

udhar sharm haa'il idhar khauf maane
na vo dekhte hain na ham dekhte hain

unhen kyun na ho dilrubaaai se nafrat
ki har dil mein vo gham alam dekhte hain

nigahbaan se bhi kya hui bad-gumaani
ab us ko tire saath kam dekhte hain

hamein daagh kya kam hai ye sarfaraazi
ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain

तमाशा-ए-दैर-ओ-हरम देखते हैं
तुझे हर बहाने से हम देखते हैं

हमारी तरफ़ अब वो कम देखते हैं
वो नज़रें नहीं जिन को हम देखते हैं

ज़माने के क्या क्या सितम देखते हैं
हमीं जानते हैं जो हम देखते हैं

फिरे बुत-कदे से तो ऐ अहल-ए-काबा
फिर आ कर तुम्हारे क़दम देखते हैं

हमें चश्म-ए-बीना दिखाती है सब कुछ
वो अंधे हैं जो जाम-ए-जम देखते हैं

न ईमा-ए-ख़्वाहिश न इज़हार-ए-मतलब
मिरे मुँह को अहल-ए-करम देखते हैं

कभी तोड़ते हैं वो ख़ंजर को अपने
कभी नब्ज़-ए-बिस्मिल में दम देखते हैं

ग़नीमत है चश्म-ए-तग़ाफ़ुल भी उन की
बहुत देखते हैं जो कम देखते हैं

ग़रज़ क्या कि समझें मिरे ख़त का मज़मूँ
वो उनवान ओ तर्ज़-ए-रक़म देखते हैं

सलामत रहे दिल बुरा है कि अच्छा
हज़ारों में ये एक दम देखते हैं

रहा कौन महफ़िल में अब आने वाला
वो चारों तरफ़ दम-ब-दम देखते हैं

उधर शर्म हाइल इधर ख़ौफ़ माने
न वो देखते हैं न हम देखते हैं

उन्हें क्यूँ न हो दिलरुबाई से नफ़रत
कि हर दिल में वो ग़म अलम देखते हैं

निगहबाँ से भी क्या हुई बद-गुमानी
अब उस को तिरे साथ कम देखते हैं

हमें 'दाग़' क्या कम है ये सरफ़राज़ी
कि शाह-ए-दकन के क़दम देखते हैं

  - Dagh Dehlvi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari