na-rava kahiye na-sazaa kahiye | ना-रवा कहिए ना-सज़ा कहिए

  - Dagh Dehlvi

na-rava kahiye na-sazaa kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye

tujh ko bad-ahd o bewafa kahiye
aise jhoote ko aur kya kahiye

dard dil ka na kahiye ya kahiye
jab vo pooche mizaaj kya kahiye

phir na rukiye jo muddaa kahiye
ek ke ba'ad doosra kahiye

aap ab mera munh na khulvaayein
ye na kahiye ki muddaa kahiye

vo mujhe qatl kar ke kahte hain
maanta hi na tha ye kya kahiye

dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye

tujh ko achha kaha hai kis kis ne
kehne waalon ko aur kya kahiye

vo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi
haal-e-dil sab se jaa-b-jaa kahiye

mujh ko kahiye bura na gair ke saath
jo ho kehna juda juda kahiye

intiha ishq ki khuda jaane
dam-e-aakhir ko ibtida kahiye

mere matlab se kya garz matlab
aap apna to muddaa kahiye

aisi kashti ka doobna achha
ki jo dushman ko nakhuda kahiye

sabr furqat mein aa hi jaata hai
par use der-aashnaa kahiye

aa gai aap ko masihaai
marne waalon ko marhaba kahiye

aap ka khair-khwah mere siva
hai koi aur doosra kahiye

haath rakh kar vo apne kaanon par
mujh se kahte hain maajra kahiye

hosh jaate rahe raqeebon ke
daagh ko aur ba-wafa kahiye

ना-रवा कहिए ना-सज़ा कहिए
कहिए कहिए मुझे बुरा कहिए

तुझ को बद-अहद ओ बेवफ़ा कहिए
ऐसे झूटे को और क्या कहिए

दर्द दिल का न कहिए या कहिए
जब वो पूछे मिज़ाज क्या कहिए

फिर न रुकिए जो मुद्दआ कहिए
एक के बा'द दूसरा कहिए

आप अब मेरा मुँह न खुलवाएँ
ये न कहिए कि मुद्दआ कहिए

वो मुझे क़त्ल कर के कहते हैं
मानता ही न था ये क्या कहिए

दिल में रखने की बात है ग़म-ए-इश्क़
इस को हरगिज़ न बरमला कहिए

तुझ को अच्छा कहा है किस किस ने
कहने वालों को और क्या कहिए

वो भी सुन लेंगे ये कभी न कभी
हाल-ए-दिल सब से जा-ब-जा कहिए

मुझ को कहिए बुरा न ग़ैर के साथ
जो हो कहना जुदा जुदा कहिए

इंतिहा इश्क़ की ख़ुदा जाने
दम-ए-आख़िर को इब्तिदा कहिए

मेरे मतलब से क्या ग़रज़ मतलब
आप अपना तो मुद्दआ कहिए

ऐसी कश्ती का डूबना अच्छा
कि जो दुश्मन को नाख़ुदा कहिए

सब्र फ़ुर्क़त में आ ही जाता है
पर उसे देर-आश्ना कहिए

आ गई आप को मसीहाई
मरने वालों को मर्हबा कहिए

आप का ख़ैर-ख़्वाह मेरे सिवा
है कोई और दूसरा कहिए

हाथ रख कर वो अपने कानों पर
मुझ से कहते हैं माजरा कहिए

होश जाते रहे रक़ीबों के
'दाग़' को और बा-वफ़ा कहिए

  - Dagh Dehlvi

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari