gham se kahi najaat mile chain paaye ham | ग़म से कहीं नजात मिले चैन पाएँ हम

  - Dagh Dehlvi

gham se kahi najaat mile chain paaye ham
dil khoon mein nahaaye to ganga nahaaye'n ham

jannat mein jaayen ham ki jahannam mein jaayen ham
mil jaaye to kahi na kahi tujh ko paaye ham

jauf-e-falak mein khaak bhi lazzat nahin rahi
jee chahta hai teri jafaaen uthaaye ham

dar hai na bhool jaaye vo saffaaq roz-e-hashr
duniya mein likhte jaate hain apni khataayein ham

mumkin hai ye ki vaade par apne vo aa bhi jaaye
mushkil ye hai ki aap mein us waqt aayein ham

naaraz ho khuda to karein bandagi se khush
maashooq rooth jaaye to kyunkar manaae ham

sar doston ka kaat ke rakhte hain saamne
ghairoon se poochte hain qasam kis ki khaayein ham

kitna tira mizaaj khushamd-pasand hai
kab tak karein khuda ke liye iltijaaein ham

laalach abas hai dil ka tumhein waqt-e-waapsi
ye maal vo nahin ki jise chhod jaayen ham

saunpa tumhein khuda ko chale ham to na-muraad
kuchh padh ke bakshna jo kabhi yaad aayein ham

soz-e-daroon se apne sharar ban gaye hain ashk
kyun aah-e-sard ko na patinge lagaayein ham

ye jaan tum na loge agar aap jaayegi
us bewafa ki khair kahaan tak manaae ham

ham-saaye jaagte rahe naalon se raat bhar
soye hue naseeb ko kyunkar jagaayein ham

jalwa dikha raha hai vo aainaa-e-jamaal
aati hai ham ko sharm ki kya munh dikhaayein ham

maano kaha jafaa na karo tum wafa ke ba'ad
aisa na ho ki fer len ulti duaaein ham

dushman se milte julte hain khaatir se dosti
kya faaeda jo dost ko dushman banaayein ham

tu bhoolne ki cheez nahin khoob yaad rakh
ai daagh kis tarah tujhe dil se bhulaayein ham

ग़म से कहीं नजात मिले चैन पाएँ हम
दिल ख़ून में नहाए तो गंगा नहाएँ हम

जन्नत में जाएँ हम कि जहन्नम में जाएँ हम
मिल जाए तो कहीं न कहीं तुझ को पाएँ हम

जौफ़-ए-फ़लक में ख़ाक भी लज़्ज़त नहीं रही
जी चाहता है तेरी जफ़ाएँ उठाएँ हम

डर है न भूल जाए वो सफ़्फ़ाक रोज़-ए-हश्र
दुनिया में लिखते जाते हैं अपनी ख़ताएँ हम

मुमकिन है ये कि वादे पर अपने वो आ भी जाए
मुश्किल ये है कि आप में उस वक़्त आएँ हम

नाराज़ हो ख़ुदा तो करें बंदगी से ख़ुश
माशूक़ रूठ जाए तो क्यूँकर मनाएँ हम

सर दोस्तों का काट के रखते हैं सामने
ग़ैरों से पूछते हैं क़सम किस की खाएँ हम

कितना तिरा मिज़ाज ख़ुशामद-पसंद है
कब तक करें ख़ुदा के लिए इल्तिजाएँ हम

लालच अबस है दिल का तुम्हें वक़्त-ए-वापसीं
ये माल वो नहीं कि जिसे छोड़ जाएँ हम

सौंपा तुम्हें ख़ुदा को चले हम तो ना-मुराद
कुछ पढ़ के बख़्शना जो कभी याद आएँ हम

सोज़-ए-दरूँ से अपने शरर बन गए हैं अश्क
क्यूँ आह-ए-सर्द को न पतिंगे लगाएँ हम

ये जान तुम न लोगे अगर आप जाएगी
उस बेवफ़ा की ख़ैर कहाँ तक मनाएँ हम

हम-साए जागते रहे नालों से रात भर
सोए हुए नसीब को क्यूँकर जगाएँ हम

जल्वा दिखा रहा है वो आईना-ए-जमाल
आती है हम को शर्म कि क्या मुँह दिखाएँ हम

मानो कहा जफ़ा न करो तुम वफ़ा के बा'द
ऐसा न हो कि फेर लें उल्टी दुआएँ हम

दुश्मन से मिलते जुलते हैं ख़ातिर से दोस्ती
क्या फ़ाएदा जो दोस्त को दुश्मन बनाएँ हम

तू भूलने की चीज़ नहीं ख़ूब याद रख
ऐ 'दाग़' किस तरह तुझे दिल से भुलाएँ हम

  - Dagh Dehlvi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari