tumhaare khat mein naya ik salaam kis ka tha | तुम्हारे ख़त में नया इक सलाम किस का था - Dagh Dehlvi

tumhaare khat mein naya ik salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir vo naam kis ka tha

vo qatl kar ke mujhe har kisi se poochte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha

wafa karenge nibaahenge baat maanenge
tumhein bhi yaad hai kuch ye kalaam kis ka tha

raha na dil mein vo bedard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqaam kis ka tha

na pooch-gach thi kisi ki wahan na aav-bhagat
tumhaari bazm mein kal ehtimaam kis ka tha

tamaam bazm jise sun ke rah gai mushtaaq
kaho vo tazkira-e-na-tamaam kis ka tha

hamaare khat ke to purze kiye padha bhi nahin
suna jo tu ne b-dil vo payaam kis ka tha

uthaai kyun na qayamat adoo ke kooche mein
lihaaz aap ko waqt-e-khiraam kis ka tha

guzar gaya vo zamaana kahoon to kis se kahoon
khayal dil ko mere subh o shaam kis ka tha

humein to hazrat-e-waaiz ki zid ne pilvaai
yahan iraada-e-sharb-e-mudaam kis ka tha

agarche dekhne waale tire hazaaron the
tabaah-haal bahut zer-e-baam kis ka tha

vo kaun tha ki tumhein jis ne bewafa jaana
khayaal-e-khaam ye sauda-e-khaam kis ka tha

inheen sifaat se hota hai aadmi mashhoor
jo lutf aam vo karte ye naam kis ka tha

har ik se kahte hain kya daagh bewafa nikla
ye pooche un se koi vo ghulaam kis ka tha

तुम्हारे ख़त में नया इक सलाम किस का था
न था रक़ीब तो आख़िर वो नाम किस का था

वो क़त्ल कर के मुझे हर किसी से पूछते हैं
ये काम किस ने किया है ये काम किस का था

वफ़ा करेंगे निबाहेंगे बात मानेंगे
तुम्हें भी याद है कुछ ये कलाम किस का था

रहा न दिल में वो बेदर्द और दर्द रहा
मुक़ीम कौन हुआ है मक़ाम किस का था

न पूछ-गछ थी किसी की वहाँ न आव-भगत
तुम्हारी बज़्म में कल एहतिमाम किस का था

तमाम बज़्म जिसे सुन के रह गई मुश्ताक़
कहो वो तज़्किरा-ए-ना-तमाम किस का था

हमारे ख़त के तो पुर्ज़े किए पढ़ा भी नहीं
सुना जो तू ने ब-दिल वो पयाम किस का था

उठाई क्यूँ न क़यामत अदू के कूचे में
लिहाज़ आप को वक़्त-ए-ख़िराम किस का था

गुज़र गया वो ज़माना कहूँ तो किस से कहूँ
ख़याल दिल को मिरे सुब्ह ओ शाम किस का था

हमें तो हज़रत-ए-वाइज़ की ज़िद ने पिलवाई
यहाँ इरादा-ए-शर्ब-ए-मुदाम किस का था

अगरचे देखने वाले तिरे हज़ारों थे
तबाह-हाल बहुत ज़ेर-ए-बाम किस का था

वो कौन था कि तुम्हें जिस ने बेवफ़ा जाना
ख़याल-ए-ख़ाम ये सौदा-ए-ख़ाम किस का था

इन्हीं सिफ़ात से होता है आदमी मशहूर
जो लुत्फ़ आम वो करते ये नाम किस का था

हर इक से कहते हैं क्या 'दाग़' बेवफ़ा निकला
ये पूछे उन से कोई वो ग़ुलाम किस का था

- Dagh Dehlvi
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari