main zakham kha ke gira tha ki thaam us ne liya | मैं ज़ख़्म खा के गिरा था कि थाम उस ने लिया

  - Faisal Ajmi

main zakham kha ke gira tha ki thaam us ne liya
muaaf kar ke mujhe intiqaam us ne liya

main so gaya to koi neend se utha mujh mein
phir apne haath mein sab intizaam us ne liya

kabhi bhulaaya kabhi yaad kar liya us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya

na jaane kis ko pukaara gale laga ke mujhe
magar vo mera nahin tha jo naam us ne liya

bahaar aayi to phoolon se un ki khushboo li
hawa chali to hawa se khiraam us ne liya

fana ne kuchh nahin maanga sawaal karte hue
isee ada pe khuda se davaam us ne liya

मैं ज़ख़्म खा के गिरा था कि थाम उस ने लिया
मुआफ़ कर के मुझे इंतिक़ाम उस ने लिया

मैं सो गया तो कोई नींद से उठा मुझ में
फिर अपने हाथ में सब इंतिज़ाम उस ने लिया

कभी भुलाया कभी याद कर लिया उस को
ये काम है तो बहुत मुझ से काम उस ने लिया

न जाने किस को पुकारा गले लगा के मुझे
मगर वो मेरा नहीं था जो नाम उस ने लिया

बहार आई तो फूलों से उन की ख़ुशबू ली
हवा चली तो हवा से ख़िराम उस ने लिया

फ़ना ने कुछ नहीं माँगा सवाल करते हुए
इसी अदा पे ख़ुदा से दवाम उस ने लिया

  - Faisal Ajmi

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Ajmi

As you were reading Shayari by Faisal Ajmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Ajmi

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari