rakht-e-safar hai is mein qareena bhi chahiye | रख़्त-ए-सफ़र है इस में क़रीना भी चाहिए

  - Faisal Ajmi

rakht-e-safar hai is mein qareena bhi chahiye
aankhen bhi chahiye dil-e-beena bhi chahiye

un ki gali mein ek mahina guzaar kar
kehna ki aur ek mahina bhi chahiye

mehkega un ke dar pe ki zakham-e-dehn hai ye
waapas jab aao to ise seena bhi chahiye

rona to chahiye hai ki dahleez un ki hai
rone ka rone waalo qareena bhi chahiye

daulat mili hai dil ki to rakho sambhaal kar
is ke liye dimaagh bhi seena bhi chahiye

dil kah raha tha aur ghadi thi qubool ki
makka bhi chahiye hai madeena bhi chahiye

रख़्त-ए-सफ़र है इस में क़रीना भी चाहिए
आँखें भी चाहिए दिल-ए-बीना भी चाहिए

उन की गली में एक महीना गुज़ार कर
कहना कि और एक महीना भी चाहिए

महकेगा उन के दर पे कि ज़ख़्म-ए-दहन है ये
वापस जब आओ तो इसे सीना भी चाहिए

रोना तो चाहिए है कि दहलीज़ उन की है
रोने का रोने वालो क़रीना भी चाहिए

दौलत मिली है दिल की तो रक्खो संभाल कर
इस के लिए दिमाग़ भी सीना भी चाहिए

दिल कह रहा था और घड़ी थी क़ुबूल की
मक्का भी चाहिए है मदीना भी चाहिए

  - Faisal Ajmi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Ajmi

As you were reading Shayari by Faisal Ajmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Ajmi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari