harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyaas ka zaa'ika paani ki tarah hota hai
main bhi rukta hoon magar reg-e-ravaan ki soorat
mera thehraav rawaani ki tarah hota hai
tere jaate hi main shiknon se na bhar jaaun kahi
kyun juda mujh se jawaani ki tarah hota hai
jism thakta nahin chalne se ki vehshat ka safar
khwaab mein naql-e-makaani ki tarah hota hai
chaand dhalt hai to us ka bhi mujhe dukh faisal
kisi gum-gashta nishaani ki tarah hota hai
हर्फ़ अपने ही मआनी की तरह होता है
प्यास का ज़ाइक़ा पानी की तरह होता है
मैं भी रुकता हूँ मगर रेग-ए-रवाँ की सूरत
मेरा ठहराव रवानी की तरह होता है
तेरे जाते ही मैं शिकनों से न भर जाऊँ कहीं
क्यूँ जुदा मुझ से जवानी की तरह होता है
जिस्म थकता नहीं चलने से कि वहशत का सफ़र
ख़्वाब में नक़्ल-ए-मकानी की तरह होता है
चाँद ढलता है तो उस का भी मुझे दुख 'फ़ैसल'
किसी गुम-गश्ता निशानी की तरह होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Ajmi
our suggestion based on Faisal Ajmi
As you were reading Kamar Shayari Shayari