us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein | उस ने देखा जो मुझे आलम-ए-हैरानी में

  - Faisal Ajmi

us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein
gir pada haath se aaina pareshaani mein

aa gaye ho to barabar hi mein khema kar lo
main to rehta hoon isee be-sar-o-saamaani mein

is qadar ghaur se mat dekh bhanwar ki jaanib
tu bhi chakra ke na gir jaaye kahi paani mein

kabhi dekha hi nahin is ne pareshaan mujh ko
main ki rehta hoon sada apni nigahbaani mein

vo mera dost tha dushman to nahin tha faisal
main ne har baat bata di use nadaani mein

उस ने देखा जो मुझे आलम-ए-हैरानी में
गिर पड़ा हाथ से आईना परेशानी में

आ गए हो तो बराबर ही में ख़ेमा कर लो
मैं तो रहता हूँ इसी बे-सर-ओ-सामानी में

इस क़दर ग़ौर से मत देख भँवर की जानिब
तू भी चकरा के न गिर जाए कहीं पानी में

कभी देखा ही नहीं इस ने परेशाँ मुझ को
मैं कि रहता हूँ सदा अपनी निगहबानी में

वो मिरा दोस्त था दुश्मन तो नहीं था 'फ़ैसल'
मैं ने हर बात बता दी उसे नादानी में

  - Faisal Ajmi

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Ajmi

As you were reading Shayari by Faisal Ajmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Ajmi

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari