kisi ne kaise khazaane mein rakh liya hai mujhe | किसी ने कैसे ख़ज़ाने में रख लिया है मुझे - Faisal Ajmi

kisi ne kaise khazaane mein rakh liya hai mujhe
utha ke agle zamaane mein rakh liya hai mujhe

vo mujh se apne tahaffuz ki bheek le ke gaya
aur ab usi ne nishaane mein rakh liya hai mujhe

main khel haar chuka hoon tiri sharaakat mein
ki tu ne maat ke khaane mein rakh liya hai mujhe

mere vujood ki shaayad yahi haqeeqat hai
ki us ne apne fasaane mein rakh liya hai mujhe

shajar se bichhda hua barg-e-khushk hoon faisal
hawa ne apne gharaane mein rakh liya hai mujhe

किसी ने कैसे ख़ज़ाने में रख लिया है मुझे
उठा के अगले ज़माने में रख लिया है मुझे

वो मुझ से अपने तहफ़्फ़ुज़ की भीक ले के गया
और अब उसी ने निशाने में रख लिया है मुझे

मैं खेल हार चुका हूँ तिरी शराकत में
कि तू ने मात के ख़ाने में रख लिया है मुझे

मिरे वजूद की शायद यही हक़ीक़त है
कि उस ने अपने फ़साने में रख लिया है मुझे

शजर से बिछड़ा हुआ बर्ग-ए-ख़ुश्क हूँ 'फ़ैसल'
हवा ने अपने घराने में रख लिया है मुझे

- Faisal Ajmi
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Ajmi

As you were reading Shayari by Faisal Ajmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Ajmi

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari