gir jaaye jo deewaar to maatam nahin karte
karte hain bahut log magar ham nahin karte
hai apni tabeeyat mein jo khaami to yahi hai
ham ishq to karte hain magar kam nahin karte
nafrat se to behtar hai ki raaste hi juda hon
bekar guzargaahon ko baaham nahin karte
har saans mein dozakh ki tapish si hai magar ham
suraj ki tarah aag ko madhham nahin karte
kya ilm ki rote hon to mar jaate hon faisal
vo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte
गिर जाए जो दीवार तो मातम नहीं करते
करते हैं बहुत लोग मगर हम नहीं करते
है अपनी तबीअत में जो ख़ामी तो यही है
हम इश्क़ तो करते हैं मगर कम नहीं करते
नफ़रत से तो बेहतर है कि रस्ते ही जुदा हों
बेकार गुज़रगाहों को बाहम नहीं करते
हर साँस में दोज़ख़ की तपिश सी है मगर हम
सूरज की तरह आग को मद्धम नहीं करते
क्या इल्म कि रोते हों तो मर जाते हों 'फ़ैसल'
वो लोग जो आँखों को कभी नम नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Ajmi
our suggestion based on Faisal Ajmi
As you were reading Aag Shayari Shayari