ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya
mera sawaal khalk-e-khuda tak nahin gaya
phir yun hua ki haath se kashkol gir pada
khairaat le ke mujh se chala tak nahin gaya
masloob ho raha tha magar hans raha tha main
aankhon mein ashk le ke khuda tak nahin gaya
jo barf gir rahi thi mere sar ke aas-paas
kya likh rahi thi mujh se padha tak nahin gaya
faisal mukaalima tha hawaon ka phool se
vo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya
ये भी नहीं कि दस्त-ए-दुआ तक नहीं गया
मेरा सवाल ख़ल्क़-ए-ख़ुदा तक नहीं गया
फिर यूँ हुआ कि हाथ से कश्कोल गिर पड़ा
ख़ैरात ले के मुझ से चला तक नहीं गया
मस्लूब हो रहा था मगर हँस रहा था मैं
आँखों में अश्क ले के ख़ुदा तक नहीं गया
जो बर्फ़ गिर रही थी मिरे सर के आस-पास
क्या लिख रही थी मुझ से पढ़ा तक नहीं गया
'फ़ैसल' मुकालिमा था हवाओं का फूल से
वो शोर था कि मुझ से सुना तक नहीं गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Ajmi
our suggestion based on Faisal Ajmi
As you were reading Aahat Shayari Shayari