teri aankhen na raheen aaina-khaana mere dost | तेरी आँखें न रहीं आईना-ख़ाना मिरे दोस्त - Faisal Ajmi

teri aankhen na raheen aaina-khaana mere dost
kitni tezi se badalta hai zamaana mere dost

jaane kis kaam mein masroof raha barson tak
yaad aaya hi nahin tujh ko bhulaana mere dost

poochna mat ki ye kya haal bana rakha hai
aaina ban ke mera dil na dukhaana mere dost

is mulaqaat mein jo ghair-zaroori ho jaaye
yaad rehta hai kise haath milaana mere dost

dekhna mujh ko magar meri paziraai ko
apni aankhon mein sitaare na sajaana mere dost

ab vo titli hai na vo umr ta'aqub waali
main na kehta tha bahut door na jaana mare dost

hijr taqdeer mein likkha tha ki majboori thi
chhod is baat se kya milna milaana mere dost

tu ne ehsaan kiya apna bana kar mujh ko
warna main kya tha haqeeqat na fasana mere dost

is kahaani mein kise kaun kahaan chhod gaya
yaad aa jaaye to mujh ko bhi bataana mere dost

chhod aaya hoon hawaon ki nigahbaani mein
vo samundar vo jazeera vo khazana mere dost

aise raston pe jo aapas mein kahi milte hon
kyun na us mod se ho jaayen ravana mere dost

तेरी आँखें न रहीं आईना-ख़ाना मिरे दोस्त
कितनी तेज़ी से बदलता है ज़माना मिरे दोस्त

जाने किस काम में मसरूफ़ रहा बरसों तक
याद आया ही नहीं तुझ को भुलाना मिरे दोस्त

पूछना मत कि ये क्या हाल बना रक्खा है
आईना बन के मिरा दिल न दुखाना मिरे दोस्त

इस मुलाक़ात में जो ग़ैर-ज़रूरी हो जाए
याद रहता है किसे हाथ मिलाना मिरे दोस्त

देखना मुझ को मगर मेरी पज़ीराई को
अपनी आँखों में सितारे न सजाना मिरे दोस्त

अब वो तितली है न वो उम्र तआ'क़ुब वाली
मैं न कहता था बहुत दूर न जाना मरे दोस्त

हिज्र तक़दीर में लिक्खा था कि मजबूरी थी
छोड़ इस बात से क्या मिलना मिलाना मिरे दोस्त

तू ने एहसान किया अपना बना कर मुझ को
वर्ना मैं क्या था हक़ीक़त न फ़साना मिरे दोस्त

इस कहानी में किसे कौन कहाँ छोड़ गया
याद आ जाए तो मुझ को भी बताना मिरे दोस्त

छोड़ आया हूँ हवाओं की निगहबानी में
वो समुंदर वो जज़ीरा वो ख़ज़ाना मिरे दोस्त

ऐसे रस्तों पे जो आपस में कहीं मिलते हों
क्यूँ न उस मोड़ से हो जाएँ रवाना मिरे दोस्त

- Faisal Ajmi
0 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Ajmi

As you were reading Shayari by Faisal Ajmi

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Ajmi

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari