dil mein ab yun tere bhule huye gham aate hain | दिल में अब यूँ तेरे भूले हुये ग़म आते हैं - Faiz Ahmad Faiz

dil mein ab yun tere bhule huye gham aate hain
jaise bichhde huye kaabe mein sanam aate hain

ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain

raqs-e-may tez karo saaz ki lay tez karo
soo-e-maikhana safeeraan-e-haram aate hain

kuch humeen ko nahin ehsaan uthaane ka dimaag
vo to jab aate hain mail-b-karam aate hain

aur kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai vo yaad bhi kam aate hain

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुये ग़म आते हैं
जैसे बिछड़े हुये काबे में सनम आते हैं

इक इक कर के हुये जाते हैं तारे रौशन
मेरी मन्ज़िल की तरफ़ तेरे क़दम आते हैं

रक़्स-ए-मय तेज़ करो, साज़ की लय तेज़ करो
सू-ए-मैख़ाना सफ़ीरान-ए-हरम आते हैं

कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग
वो तो जब आते हैं माइल-ब-करम आते हैं

और कुछ देर न गुज़रे शब-ए-फ़ुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है वो याद भी कम आते हैं

- Faiz Ahmad Faiz
3 Likes

Motivational Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari Shayari