himmat-e-iltija nahin baaki | हिम्मत-ए-इल्तिजा नहीं बाक़ी - Faiz Ahmad Faiz

himmat-e-iltija nahin baaki
zabt ka hausla nahin baaki

ik tiri deed chin gai mujh se
warna duniya mein kya nahin baaki

apni mashq-e-sitam se haath na kheench
main nahin ya wafa nahin baaki

teri chashm-e-alam-navaaz ki khair
dil mein koi gila nahin baaki

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-visaal
zindagi mein maza nahin baaki

हिम्मत-ए-इल्तिजा नहीं बाक़ी
ज़ब्त का हौसला नहीं बाक़ी

इक तिरी दीद छिन गई मुझ से
वर्ना दुनिया में क्या नहीं बाक़ी

अपनी मश्क़-ए-सितम से हाथ न खींच
मैं नहीं या वफ़ा नहीं बाक़ी

तेरी चश्म-ए-अलम-नवाज़ की ख़ैर
दिल में कोई गिला नहीं बाक़ी

हो चुका ख़त्म अहद-ए-हिज्र-ओ-विसाल
ज़िंदगी में मज़ा नहीं बाक़ी

- Faiz Ahmad Faiz
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari